Allah Se Mohabbat Ki Dua

Allah ki mohabbat aur qurbat kaise haasil karein?
Insani zindagi ka asal maqsad Allah ki ibadat aur uski mohabbat haasil karna hai. Jab banda Allah se mohabbat karta hai, uski zindagi mein sakoon aur barkat aati hai. Allah ki mohabbat ek badi ni’mat hai jo sirf un logon ko milti hai jo uski raah mein apna dil aur amal lagate hain. Agar aap bhi Allah se mohabbat karna chahte hain aur uski mohabbat ko apne dil mein mehsoos karna chahte hain, toh yeh kuch Allah Se Mohabbat Ki Dua aur amal madadgar ho sakte hain:

Allah Se Mohabbat Ki Dua

  1. Dua for Allah’s love (Ek khas dua):“Allahumma inni as’aluka hubbaka wa hubba man yuhibbuka wa hubba amalin yuqarribuni ila hubbik.”
    Translation: “O Allah, I ask You for Your love, the love of those who love You, and the love of deeds that bring me closer to Your love.”
  2. Dil ko saaf rakhna aur Allah ka shukr ada karna: Roz apne dil ko Allah ki taraf munh karne ki aadat banayein. Har dua ke baad Allah ka shukr ada karein aur apne dil ki baat uske saamne rakh dein.
  3. Qur’an aur Sunnat par amal karna: Qur’an ki tilawat aur uske ahkaam par amal Allah ki mohabbat ke darwaze kholti hai. Sunnat par chalna aur apne akhlaq ko sudharna bhi zaroori hai.

Allah ki Mohabbat Haasil Karne Ke Tareeqe

  1. Zikr aur Tasbih: Allah ka zikr rozana karein, jaise:
    • “SubhanAllah”
    • “Alhamdulillah”
    • “Allahu Akbar”
    • “La ilaha illallah”
  2. Tahajjud ka Namaz: Tahajjud ki namaz mein Allah se mohabbat aur uska qurbat maangna ek behtareen tareeqa hai. Jab duniya soti hai, us waqt utha kar dua karna Allah ko bohot pasand hai.
  3. Allah ke Raste Mein Sadqa Aur Khidmat: Gareebon ki madad aur Allah ke raste mein kharch karna dil ko naram aur Allah ke qareeb karta hai.
  4. Makhlooq se Muhabbat: Allah ki makhlooq se mohabbat aur unka khayal rakhna bhi. Allah ki mohabbat haasil karne ka ek zariya hai.

Dil Se Allah Ki Mohabbat Ki Nishaniyan

  • Har kaam Allah ke hukm ke mutabiq karna.
  • Har mushkil aur sukh mein Allah par bharosa rakhna.
  • Allah ke zikr aur duaon mein dil ka lagao mehsoos karna.

Allah se mohabbat ek aisi rahmat hai jo insaan ki zindagi ko roshan kar deti hai. Apne dil ko Allah ki taraf laga kar, uske zikr aur ibadat mein waqt guzariyein. Aur uski mohabbat ke liye dua karte rahiyein.

Allah hum sabko apni mohabbat naseeb karein. Ameen!

Leave a Comment

× Consult Molana ji !